aamal ki pursish na kar ai dawar-e-mahshar
majbur to muKHtar kabhi ho nahin sakta
Josh Malsiani
aane wali hai kya bala sar par
aaj phir dil mein dard hai kam kam
Josh Malsiani
aur hote hain jo mahfil mein KHamosh aate hain
aandhiyan aati hain jab hazrat-e-'josh' aate hain
Josh Malsiani
gila na-mehrbani ka to sab se sun liya tum ne
tumhaari mehrbani ki shikayat hum bhi rakhte hain
Josh Malsiani
is wahm se ki nind mein aae na kuchh KHalal
ahbab zer-e-KHak sula kar chale gae
Josh Malsiani
ishq us dard ka nahin qail
jo musibat ki intiha na hua
Josh Malsiani
jhukti hai nigah us ki mujh se mil kar
diwar se dhup utar rahi hai goya
Josh Malsiani

