mujhe pasand nahin aise karobar mein hun
ye jabr hai ki main KHud apne iKHtiyar mein hun
Adil Mansuri
nashsha sa Dolta hai tere ang ang par
jaise abhi bhigo ke nikala ho jam se
Adil Mansuri
nind bhi jagti rahi pure hue na KHwab bhi
subh hui zamin par raat Dhali mazar mein
Adil Mansuri
phir baalon mein raat hui
phir hathon mein chand khila
Adil Mansuri
phir koi wusat-e-afaq pe saya Dale
phir kisi aankh ke nuqte mein utara jaun
Adil Mansuri
phulon ki sej par zara aaram kya kiya
us gul-badan pe naqsh uTh aae gulab ke
Adil Mansuri
taswir mein jo qaid tha wo shaKHs raat ko
KHud hi frame toD ke pahlu mein aa gaya
Adil Mansuri