اردو हिंदी
Mujhe pasand nahin aise karobar mein hun | Shaahi Shayari
mujhe pasand nahin aise karobar mein hun

Ghazal

Mujhe pasand nahin aise karobar mein hun

Adil Mansuri

;

mujhe pasand nahin aise karobar mein hun
ye jabr hai ki main KHud apne iKHtiyar mein hun

hudud-e-waqt se bahar ajab hisar mein hun
main ek lamha hun sadiyon ke intizar mein hun

abhi na kar meri tashkil mujh ko nam na de
tere wajud se bahar mein kis shumar mein hun

main ek zarra meri haisiyat hi kya hai magar
hawa ke sath hun uDte hue ghubar mein hun

bas aas-pas ye suraj hai aur kuchh bhi nahin
mahak raha to hun lekin main regzar mein hun