khiDki ne aanhken kholi
darwaze ka dil dhaDka
Adil Mansuri
KHud-ba-KHud shaKH lachak jaegi
phal se bharpur to ho lene do
Adil Mansuri
KHwahish sukhane rakkhi thi koThe pe dopahar
ab sham ho chali miyan dekho kidhar gai
Adil Mansuri
kis tarah jama kijiye ab apne aap ko
kaghaz bikhar rahe hain purani kitab ke
Adil Mansuri
koi KHud-kushi ki taraf chal diya
udasi ki mehnat Thikane lagi
Adil Mansuri
kyun chalte chalte ruk gae viran rasto
tanha hun aaj main zara ghar tak to sath do
Adil Mansuri
mere TuTe hausle ke par nikalte dekh kar
us ne diwaron ko apni aur uncha kar diya
Adil Mansuri