اردو हिंदी
GanThi hai usne dosti ek pesh-imam se | Shaahi Shayari
ganThi hai usne dosti ek pesh-imam se

Ghazal

GanThi hai usne dosti ek pesh-imam se

Adil Mansuri

;

ganThi hai us ne dosti ek pesh-imam se
'adil' uTha lo hath dua-o-salam se

pani ne rasta na diya jaan-bujh kar
ghote lagae phir bhi rahe tishna-kaam se

main us gali se sar ko jhukae guzar gaya
chilghoze phenkti rahi wo mujh pe baam se

wo kaun tha jo din ke ujale mein kho gaya
ye chand kis ko DhunDne nikla hai sham se

kone mein baadshah paDa unghta raha
Table pe raat kaT gai begam ghulam se

nashsha sa Dolta hai tere ang ang par
jaise abhi bhigo ke nikala ho jam se