mujhe gum-shuda dil ka gham hai to ye hai
ki is mein bhari thi mohabbat kisi ki
Afsar Allahabadi
na ho ya rab aisi tabiat kisi ki
ki hans hans ke dekhe musibat kisi ki
Afsar Allahabadi
tumhaare hijr mein kyun zindagi na mushkil ho
tumhin jigar ho tumhin jaan ho tumhin dil ho
Afsar Allahabadi
KHushnuma daere bante hi chale jate hain
dil ke talab mein phenka hai ye kankar kis ne
Afsar Azri
aa mere pas aur kabhi is tarah chamak
mere badan se bhi tera saya tulua ho
Afsar Jamshed
na jaane is qadar kyun aap diwane se Darte hain
charagh-e-anjuman hain aur parwane se Darte hain
Afsar Mahpuri
hai tere liye sara jahan husn se KHali
KHud husn agar teri nigahon mein nahin hai
Afsar Merathi