hammam ke aaine mein shab Dub rahi thi
cigarette se nae din ka dhuan phail raha tha
Adil Mansuri
hudud-e-waqt se bahar ajab hisar mein hun
main ek lamha hun sadiyon ke intizar mein hun
Adil Mansuri
jaane kis ko DhunDne daKHil hua hai jism mein
haDDiyon mein rasta karta hua pila buKHa
Adil Mansuri
jism ki miTTi na le jae baha kar sath mein
dil ki gahrai mein girta KHwahishon ka aabshaa
Adil Mansuri
jo chup-chap rahti thi diwar par
wo taswir baaten banane lagi
Adil Mansuri
kab se Tahal rahe hain gareban khol kar
KHali ghaTa ko kya karen barsat bhi to ho
Adil Mansuri
kab tak paDe rahoge hawaon ke hath mein
kab tak chalega khokhle shabdon ka karoba
Adil Mansuri