pai-ba-pai talwar chalti hai yahan aafat ki
dast-o-bazu ki KHabar lun to samajhiye sar gaya
Hasan Nayeem
pai-ba-pai talwar chalti hai yahan aafat ki
dast-o-bazu ki KHabar lun to samjhiye sar gaya
Hasan Nayeem
payambaron ne kaha tha ki jhuT haarega
magar ye dekhiye apna mushahida kya hai
Hasan Nayeem
uh ka lamba safar hai ek bhi insan ka qurb
main chala barson to un tak jism ka saya gaya
Hasan Nayeem
sach to ye ki abhi dil ko sukun hai lekin
apne aawara KHayalat se ji Darta hai
Hasan Nayeem
sara-e-dil mein jagah de to kaT lun ek raat
nahin hai shart ki mujh ko sharik-e-KHwab bana
Hasan Nayeem
ab us se baDh ke bhala mo'tabar kahen kis ko
zamana us ka hai mazi-o-haal us ke hain
Hasan Rizvi

