koi mausam ho yahi soch ke ji lete hain
ek na ek roz shajar gham ka hara to hoga
Hasan Nayeem
kuchh usulon ka nasha tha kuchh muqaddas KHwab the
har zamane mein shahadat ke yahi asbab the
Hasan Nayeem
kya firaq o faiz se lena tha mujh ko ai 'naim'
mere aage fikr-o-fan ke kuchh nae aadab the
Hasan Nayeem
main apni ruh mein us ko basa chuka itna
ab us ka husn bhi parda dikhai deta hai
Hasan Nayeem
main ek bab tha afsana-e-wafa ka magar
tumhaari bazm se uTTha to ek kitab bana
Hasan Nayeem
mauja-e-ashk se bhigi na kabhi nok-e-qalam
wo ana thi ki kabhi dard na ji ka likkha
Hasan Nayeem
panw se lag ke khaDi hai ye gharib-ul-watani
us ko samjhao ki hum apne watan aae hain
Hasan Nayeem

