kabhi kitabon mein phul rakhna kabhi daraKHton pe nam likhna
hamein bhi hai yaad aaj tak wo nazar se harf-e-salam likhna
Hasan Rizvi
na wo iqrar karta hai na wo inkar karta hai
hamein phir bhi guman hai wo hamin se pyar karta hai
Hasan Rizvi
tha jo ek lamha visal ka wo riyaz tha kai sal ka
wahi ek pal mein guzar gaya jise umr guzri pukarte
Hasan Rizvi
ye us ke pyar ki baaten faqat qisse purane hain
bhala kachche ghaDe par kaun dariya par karta hai
Hasan Rizvi
gham-e-hayat ne fursat na di sunane ki
chale the hum bhi mohabbat ki dastan le ka
Hasan Tahir
yahan na main hun na tu hai na koi shahnai
pahunch gai hai teri aarzu kahan le ka
Hasan Tahir
dar-o-diwar bhi ghar ke bahut mayus the hum se
so hum bhi raat is jagir se bahar nikal aae
Haseeb Soz

