shor sa ek har ek samt bapa lagta hai
wo KHamoshi hai ki lamha bhi sada lagta hai
Adeem Hashmi
wo jo tark-e-rabt ka ahd tha kahin TuTne to nahin laga
tere dil ke dard ko dekh kar mere dil mein dard hai kis liye
Adeem Hashmi
wo ki KHushbu ki tarah phaila tha mere chaar-su
main use mahsus kar sakta tha chhu sakta na tha
Adeem Hashmi
yaad kar ke aur bhi taklif hoti thi 'adim'
bhul jaane ke siwa ab koi bhi chaara na tha
Adeem Hashmi
aaise Dare hue hain zamane ki chaal se
ghar mein bhi panw rakhte hain hum to sambhaal ka
Adil Mansuri
aawaz ki diwar bhi chup-chap khaDi thi
khiDki se jo dekha to gali ungh rahi thi
Adil Mansuri
ismil ke taDapne ki adaon mein nasha tha
main hath mein talwar liye jhum raha tha
Adil Mansuri