jhankta bhi nahin suraj mere ghar ke andar
band bhi koi daricha nahin rahne deta
Ghulam Murtaza Rahi
jo us taraf se ishaara kabhi kiya us ne
main Dub jaunga dariya ko par karte hue
Ghulam Murtaza Rahi
kahan tak us ki masihai ka shumar karun
jahan hai zaKHm wahin indimal hai us ka
Ghulam Murtaza Rahi
kaisa insan taras raha hai jine ko
kaise sahil par ek machhli zinda hai
Ghulam Murtaza Rahi
kisi ki rah mein aane ki ye bhi surat hai
ki saya ke liye diwar ho liya jae
Ghulam Murtaza Rahi
kisi ne bhej kar kaghaz ki kashti
bulaya hai samundar par mujh ko
Ghulam Murtaza Rahi
kitna bhi rang-o-nasl mein rakhte hon iKHtilaf
phir bhi khaDe hue hain shajar ek qatar mein
Ghulam Murtaza Rahi

