pahle us ne mujhe chunwa diya diwar ke sath
phir imarat ko mere nam se mausum kiya
Ghulam Murtaza Rahi
purkhon se chali aati hai ye naql-e-makani
ab mujh se bhi KHali mera ghar hone laga hai
Ghulam Murtaza Rahi
ahega aaine ki tarah aab par qaem
nadi mein Dubne wala nahin kinara mera
Ghulam Murtaza Rahi
akh diya waqt ne aaina bana kar mujh ko
ru-ba-ru hote hue bhi main faramosh raha
Ghulam Murtaza Rahi
akhta nahin hai dasht sarokar aab se
bahlae jate hain yahan pyase sarab se
Ghulam Murtaza Rahi
sanson ke aane jaane se lagta hai
ek pal jita hun to ek pal marta hun
Ghulam Murtaza Rahi
sahra jangal sagar parbat
in se hi rasta milta hai
Ghulam Murtaza Rahi

