tu faraham na ho mujh ko ye hai marzi teri
tujh ko jab chahun bula lun ye ijazat mujhe de
Farhat Ehsas
us jagah ja ke wo baiTha hai bhari mahfil mein
ab jahan mere ishaare bhi nahin ja sakte
Farhat Ehsas
us se milne ke liye jae to kya jae koi
us ne darwaze pe aaina laga rakkha hai
Farhat Ehsas
use KHabar thi ki hum visal aur hijr ek sath chahte hain
to us ne aadha ujaD rakkha hai aur aadha bana diya hai
Farhat Ehsas
wo chand kah ke gaya tha ki aaj niklega
to intizar mein baiTha hua hun sham se main
Farhat Ehsas
wo jo ek shor sa barpa hai amal hai mera
ye jo tanhai barasti hai saza meri hai
Farhat Ehsas
ye be-kanar badan kaun par kar paya
bahe chale gae sab log is rawani mein
Farhat Ehsas