ye dhaDakta hua dil us ke hawale kar dun
ek bhi shaKHs agar shahar mein zinda mil jae
Farhat Ehsas
ye tera mera jhagDa hai duniya ko bich mein kyun Dalen
ghar ke andar ki baaton par ghairon ko gawah nahin karte
Farhat Ehsas
aankhon mein base ho tum aankhon mein ayan ho kar
dil hi mein na rah jao aankhon se nihan ho ka
Farhat Kanpuri
daulat-e-ahd-e-jawani ho gae
chand lamhe jo kahani ho gae
Farhat Kanpuri
dil ki rahen juda hain duniya se
koi bhi rahbar nahin hota
Farhat Kanpuri
duniya ne KHub samjha duniya ne KHub parkha
meri nazar ko dekha jab aap ki nazar se
Farhat Kanpuri
'farhat' tere naghmon ki wo shohrat hai jahan mein
wallah tera rang-e-suKHan yaad rahega
Farhat Kanpuri