main bhi yahan hun is ki shahadat mein kis ko laun
mushkil ye hai ki aap hun apni nazir main
Farhat Ehsas
main bichhDon ko milane ja raha hun
chalo diwar Dhane ja raha hun
Farhat Ehsas
main jab kabhi us se puchhta hun ki yar marham kahan hai mera
to waqt kahta hai muskura kar janab tayyar ho raha hai
Farhat Ehsas
main rona chahta hun KHub rona chahta hun main
phir us ke baad gahri nind sona chahta hun main
Farhat Ehsas
mere har misre pe us ne wasl ka misra lagaya
sab adhure sher shab bhar mein mukammal ho gae the
Farhat Ehsas
meri ek umr aur ek ahd ki tariKH raqam hai jis par
kaise rokun ki wo aansu meri aaankhon se gira jata hai
Farhat Ehsas
mere sare badan par duriyon ki KHak bikhri hai
tumhaare sath mil kar KHud ko dhona chahta hun main
Farhat Ehsas