ye kyun kahte ho rah-e-ishq par chalna hai hum ko
kaho ki zindagi se ab faraghat chahiye hai
Farhat Nadeem Humayun
aziz mujh ko hain tufan sahilon se siwa
isi liye hai KHafa mera naKHuda mujh se
Farhat Shahzad
aat apni ana ki hai warna
yun to do hath par kinara hai
Farhat Shahzad
dekh ke jis ko dil dukhta tha
wo taswir jala di hum ne
Farhat Shahzad
hum se tanhai ke mare nahin dekhe jate
bin tere chand sitare nahin dekhe jate
Farhat Shahzad
harf jaise ho gae sare munafiq ek dam
kaun se lafzon mein samjhaun tumhein dil ka payam
Farhat Shahzad
main shayad tere dukh mein mar gaya hun
ki ab sine mein kuchh dukhta nahin hai
Farhat Shahzad