ek raat wo gaya tha jahan baat rok ke
ab tak ruka hua hun wahin raat rok ke
Farhat Ehsas
ilaj apna karaate phir rahe ho jaane kis kis se
mohabbat kar ke dekho na mohabbat kyun nahin karte
Farhat Ehsas
ishq mein pine ka pani bas aankh ka pani
khane mein bas patthar khae ja sakte the
Farhat Ehsas
jaan ye sarkashi-e-jism tere bas ki nahin
meri aaghosh mein aa la ye musibat mujhe de
Farhat Ehsas
jab us ko dekhte rahne se thakne lagta hun
to apne KHwab ki palken jhapakne lagta hun
Farhat Ehsas
jise bhi pyas bujhani ho mere pas rahe
kabhi bhi apne labon se chhalakne lagta hun
Farhat Ehsas
jism ka kuza hai apna aur na ye dariya-e-jaan
jo laga lega labon se us mein bhar jaenge hum
Farhat Ehsas