jo ishq chahta hai wo hona nahin hai aaj
KHud ko bahaal karna hai khona nahin hai aaj
Farhat Ehsas
kabhi is raushni ki qaid se bahar bhi niklo tum
hujum-e-husn ne sara sarapa gher rakkha hai
Farhat Ehsas
kaun si aisi KHushi hai jo mili ho ek bar
aur ta-umr hamein jis ne aziyyat nahin di
Farhat Ehsas
kis ki hai ye taswir jo banti nahin mujh se
main kis ka taqaza hun ki pura nahin hota
Farhat Ehsas
kisi haalat mein bhi tanha nahin hone deti
hai yahi ek KHarabi meri tanhai ki
Farhat Ehsas
kya badan hai ki Thaharta hi nahin aankhon mein
bas yahi dekhta rahta hun ki ab kya hoga
Farhat Ehsas
log yun jate nazar aate hain maqtal ki taraf
masale jaise rawana hon kisi hal ki taraf
Farhat Ehsas