yun dikhata hai aankhen hamein baghban
jaise gulshan pe kuchh haq hamara nahin
Fana Nizami Kanpuri
zindagi nam hai ek johd-e-musalsal ka 'fana'
rah-rau aur bhi thak jata hai aaram ke baad
Fana Nizami Kanpuri
aankh uThai hi thi ki khai choT
bach gai aankh dil pe aai choT
Fani Badayuni
aabaadi bhi dekhi hai virane bhi dekhe hain
jo ujDe aur phir na base dil wo nirali basti hai
Fani Badayuni
aate hain ayaadat ko to karte hain nasihat
ahbab se gham-KHwar hua bhi nahin jata
Fani Badayuni
ab nae sur se chheD parda-e-saz
main hi tha ek dukh-bhari aawaz
Fani Badayuni
ai be-KHudi Thahr ki bahut din guzar gae
mujh ko KHayal-e-yar kahin DhunDta na ho
Fani Badayuni