main chala aaya tera husn-e-taghaful le kar
ab teri anjuman-e-naz mein rakkha kya hai
Fana Nizami Kanpuri
maujon ke ittihad ka aalam na puchhiye
qatra uTha aur uTh ke samundar uTha liya
Fana Nizami Kanpuri
qaid-e-gham-e-hayat bhi kya chiz hai 'fana'
rah-e-farar mil na saki umr-bhar phire
Fana Nizami Kanpuri
ahta hai wahan zikr-e-tuhur-o-mai-e-kausar
hum aaj se kabe ko bhi mai-KHana kahenge
Fana Nizami Kanpuri
ind jannat mein ja bhi chuke
waiz-e-mohtaram rah gae
Fana Nizami Kanpuri
sab honge us se apne taaruf ki fikr mein
mujh ko mere sukut se pahchan jaega
Fana Nizami Kanpuri
sahta raha jafa-e-dost kahta raha ada-e-dost
mere KHulus ne mera jina muhaal kar diya
Fana Nizami Kanpuri