tark-e-talluqat ko ek lamha chahiye
lekin tamam umr mujhe sochna paDa
Fana Nizami Kanpuri
tark-e-watan ke baad hi qadr-e-watan hui
barson meri nigah mein diwar-o-dar phire
Fana Nizami Kanpuri
tartib de raha tha main fahrist-e-dushmanan
yaron ne itni baat pe KHanjar uTha liya
Fana Nizami Kanpuri
tere wadon pe kahan tak mera dil fareb khae
koi aisa kar bahana meri aas TuT jae
Fana Nizami Kanpuri
tu kuchh to mere zabt-e-mohabbat ka sila de
hangam-e-'fana' dida-e-pur-nam ki tarah aa
Fana Nizami Kanpuri
tu phul ki manind na shabnam ki tarah aa
ab ke kisi be-nam se mausam ki tarah aa
Fana Nizami Kanpuri
wo aankh kya jo aariz o ruKH par Thahar na jae
wo jalwa kya jo dida o dil mein utar na jae
Fana Nizami Kanpuri