kaha falak ne ye uDte hue parindon se
zamin pe log makanon mein qaid rahte hain
Faisal Saeed Zirgham
aae kuchh abr kuchh sharab aae
is ke baad aae jo azab aae
Faiz Ahmad Faiz
aae to yun ki jaise hamesha the mehrban
bhule to yun ki goya kabhi aashna na the
Faiz Ahmad Faiz
aap ki yaad aati rahi raat bhar
chandni dil dukhati rahi raat bha
Faiz Ahmad Faiz
ab apna iKHtiyar hai chahe jahan chalen
rahbar se apni rah juda kar chuke hain hum
Faiz Ahmad Faiz
ada-e-husn ki masumiyat ko kam kar de
gunahgar-e-nazar ko hijab aata hai
Faiz Ahmad Faiz
agar sharar hai to bhaDke jo phul hai to khile
tarah tarah ki talab tere rang-e-lab se hai
Faiz Ahmad Faiz