kabhi bhulaya kabhi yaad kar liya us ko
ye kaam hai to bahut mujh se kaam us ne liya
Faisal Ajmi
kabhi dekha hi nahin is ne pareshan mujh ko
main ki rahta hun sada apni nigahbani mein
Faisal Ajmi
KHauf gharqab ho gaya 'faisal'
ab samundar pe chal raha hun main
Faisal Ajmi
kya ilm ki rote hon to mar jate hon 'faisal'
wo log jo aankhon ko kabhi nam nahin karte
Faisal Ajmi
main so gaya to koi nind se uTha mujh mein
phir apne hath mein sab intizam us ne liya
Faisal Ajmi
main zaKHm kha ke gira tha ki tham us ne liya
muaf kar ke mujhe intiqam us ne liya
Faisal Ajmi
aat sitaron wali thi aur dhup bhara tha din
jab tak aankhen dekh rahi thin manzar achchhe the
Faisal Ajmi