اردو हिंदी
Main zaKHm kha ke gira tha ki tham usne liya | Shaahi Shayari
main zaKHm kha ke gira tha ki tham usne liya

Ghazal

Main zaKHm kha ke gira tha ki tham usne liya

Faisal Ajmi

;

main zaKHm kha ke gira tha ki tham us ne liya
muaf kar ke mujhe intiqam us ne liya

main so gaya to koi nind se uTha mujh mein
phir apne hath mein sab intizam us ne liya

kabhi bhulaya kabhi yaad kar liya us ko
ye kaam hai to bahut mujh se kaam us ne liya

na jaane kis ko pukara gale laga ke mujhe
magar wo mera nahin tha jo nam us ne liya

bahaar aai to phulon se un ki KHushbu li
hawa chali to hawa se KHiram us ne liya

fana ne kuchh nahin manga sawal karte hue
isi ada pe KHuda se dawam us ne liya