mere aziz hi mujh ko samajh na pae kabhi
main apna haal kisi ajnabi se kya kahta
Ehtisham Akhtar
shahr ke andhere ko ek charagh kafi hai
sau charagh jalte hain ek charagh jalne se
Ehtisham Akhtar
soch un ki kaisi hai kaise hain ye diwane
ek makan ki KHatir jo sau makan jalate hain
Ehtisham Akhtar
tum jalana mujhe chaho to jala do lekin
naKHl-e-taza jo jalega to dhuan bhi dega
Ehtisham Akhtar
ujhin shamen to dil jalae hain
yun andheron mein raushni ki hai
Ehtisham Husain
dil ne chupke se kaha koshish-e-nakaam ke baad
zahr hi dard-e-mohabbat ki dawa ho jaise
Ehtisham Husain
main samajhta hun mujhe daulat-e-kaunain mili
kaun kahta hai ki wo kar gae badnam mujhe
Ehtisham Husain