tum sada-mizaji se miTe phirte ho jis par
wo shaKHs to duniya mein kisi ka bhi nahin hai
Ehsan Danish
uTTha jo abr dil ki umangen chamak uThin
lahrain bijliyan to main lahra ke pi gaya
Ehsan Danish
wafa ka ahd tha dil ko sambhaalne ke liye
wo hans paDe mujhe mushkil mein Dalne ke liye
Ehsan Danish
ye kaun hans ke sehn-e-chaman se guzar gaya
ab tak hain phul chaak gareban kiye hue
Ehsan Danish
ye uDi uDi si rangat ye khule khule se gesu
teri subh kah rahi hai teri raat ka fasana
Ehsan Danish
ye ujalon ke jazire ye sarabon ke dayar
sehr-o-afsun ke siwa jashn-e-tarab kuchh bhi nahin
Ehsan Danish
zabt bhi sabr bhi imkan mein sab kuchh hai magar
pahle kam-baKHt mera dil to mera dil ho jae
Ehsan Danish