aDi mushkilon se kaTa baDe karb se guzara
tere baad koi lamha jo mila kabhi KHushi ka
Ehsan Darbhangavi
nazar aati hai sari kaenat-e-mai-kada raushan
ye kis ke saghar-e-rangin se phuTi hai kiran saqi
Ehsan Darbhangavi
shayad abhi baqi hai kuchh aag mohabbat ki
mazi ki chitaon se uThta hai dhuan 'ehsan'
Ehsan Darbhangavi
shauq ke mumkinat ko donon hi aazma chuke
tum bhi fareb kha chuke hum bhi fareb kha chuke
Ehsan Darbhangavi
tum is taraf se guzar chuki ho magar gali gunguna rahi hai
tumhaari pazeb ka wo naghma faza mein ab tak khanak raha hai
Ehsan Darbhangavi
yaad aai jab mujhe 'farhat' se chhoTi thi bahan
mere dushman ki bahan ne mujh ko rakhi bandh di
Ehsan Saqib
ahl-e-duniya se mujhe to koi andesha na tha
nam tera kis liye mere labon par jam gaya
Ehteram Islam