kis kis ki zaban rokne jaun teri KHatir
kis kis ki tabahi mein tera hath nahin hai
Ehsan Danish
kise KHabar thi ki ye daur-e-KHud-gharaz ek din
junun se qimat-e-dar-o-rasan chhupaega
Ehsan Danish
kuchh apne saz-e-nafas ki na qadr ki tu ne
ki is rabab se behtar koi rabab na tha
Ehsan Danish
kuchh log jo sawar hain kaghaz ki naw par
tohmat tarashte hain hawa ke dabaw pa
Ehsan Danish
log yun dekh ke hans dete hain
tu mujhe bhul gaya ho jaise
Ehsan Danish
main hairan hun ki kyun us se hui thi dosti apni
mujhe kaise gawara ho gai thi dushmani apni
Ehsan Danish
main jis raftar se tufan ki jaanib baDhta jata hun
usi raftar se nazdik sahil hota jata hai
Ehsan Danish