اردو हिंदी
Tauba ki nazishon pe sitam Dha ke pi gaya | Shaahi Shayari
tauba ki nazishon pe sitam Dha ke pi gaya

Ghazal

Tauba ki nazishon pe sitam Dha ke pi gaya

Ehsan Danish

;

tauba ki nazishon pe sitam Dha ke pi gaya
pi! us ne jab kaha to main ghabra ke pi gaya

dil hi to hai uThae kahan tak gham-o-alam
main roz ke malal se ukta ke pi gaya

thin lakh garche mahshar o marqad ki uljhanen
gutthi ko zabt-e-shauq ki suljha ke pi gaya

mai-KHana-e-bahaar mein muddat ka tishna-lab
saqi KHata-muaf! KHata kha ke pi gaya

niyyat nahin KHarab na aadi hun ai nadim!
aalam-e-rozgar se tang aa ke pi gaya!

saqi ke husn-e-dida-e-mai-gun ke samne
main jalwa-e-bahisht ko Thukra ke pi gaya

uTTha jo abr dil ki umangen chamak uThin
lahrain bijliyan to main lahra ke pi gaya

dil kuchh subut-e-hifz-e-shariat na de saka
saqi ke lutf-e-KHas pe itra ke pi gaya