nahin khel ai 'dagh' yaron se kah do
ki aati hai urdu zaban aate aate
Dagh Dehlvi
nigah nikli na dil ki chor zulf-e-ambarin nikli
idhar la hath muTThi khol ye chori yahin nikli
Dagh Dehlvi
phir gaya jab se koi aa ke hamare dar tak
ghar ke bahar hi paDe rahte hain ghar chhoD diya
Dagh Dehlvi
phire rah se wo yahan aate aate
ajal mar rahi tu kahan aate aate
Dagh Dehlvi
phirta hai mere dil mein koi harf-e-muddaa
qasid se kah do aur na jae zara si de
Dagh Dehlvi
puchhiye mai-kashon se lutf-e-sharab
ye maza pak-baz kya jaanen
Dagh Dehlvi
qatl ki sun ke KHabar id manai main ne
aaj jis se mujhe milna tha gale mil aaya
Dagh Dehlvi