ummid to bandh jati taskin to ho jati
wada na wafa karte wada to kiya hota
Chiragh Hasan Hasrat
ya-rab gham-e-hijran mein itna to kiya hota
jo hath jigar par hai wo dast-e-dua hota
Chiragh Hasan Hasrat
din to shikam ki aag bujhane mein jae hai
shukr-e-KHuda ki kaTti hai danishwaron mein raat
Daem Gawwasi
guftugu mein wo halawat wo amal mein iKHlas
us ki hasti pe farishte ka guman ho jaise
Daem Gawwasi
aao mil jao ki ye waqt na paoge kabhi
main bhi ham-rah zamane ke badal jaunga
Dagh Dehlvi
aap pachhtaen nahin jaur se tauba na karen
aap ke sar ki qasam 'dagh' ka haal achchha hai
Dagh Dehlvi
aati hai baat baat mujhe bar bar yaad
kahta hun dauD dauD ke qasid se rah mein
Dagh Dehlvi