use ek but ke aage sar jhukate sab ne dekha hai
wo kafir hi sahi pakka magar iman rakhta hai
Bharat Bhushan Pant
warna to hum manzar aur pas-manzar mein uljhe rahte
hum ne bhi sach man liya jo kuchh dikhlaya aankhon ne
Bharat Bhushan Pant
yaad bhi aata nahin kuchh bhulta bhi kuchh nahin
ya bahut masruf hun main ya bahut fursat mein hun
Bharat Bhushan Pant
ye kya ki roz pahunch jata hun main ghar apne
ab apni jeb mein apna pata na rakkha jae
Bharat Bhushan Pant
ye kya ki roz ubharte ho roz Dubte ho
tum ek bar mein gharqab kyun nahin hote
Bharat Bhushan Pant
ye sab to duniya mein hota rahta hai
hum KHud se be-kar ulajhne lagte hain
Bharat Bhushan Pant
ye suraj kab nikalta hai unhin se puchhna hoga
sahar hone se pahle hi jo bistar chhoD dete hain
Bharat Bhushan Pant