gulabi gal par kuchh rang mujh ko bhi jamane do
manane do mujhe bhi jaan-e-man tyauhaar holi mein
Bhartendu Harishchandra
ho gaya laghar jo us laila-ada ke ishq mein
misl-e-majnun haal mera bhi fasana ho gaya
Bhartendu Harishchandra
jahan dekho wahan maujud mera kirshn pyara hai
usi ka sab hai jalwa jo jahan mein aashkara hai
Bhartendu Harishchandra
kis gul ke tasawwur mein hai ai lala jigar-KHun
ye dagh kaleje pe uThana nahin achchha
Bhartendu Harishchandra
kisi pahlu nahin aaram aata tere aashiq ko
dil-e-muztar taDapta hai nihayat be-qarari hai
Bhartendu Harishchandra
kisi pahlu nahin chain aata hai ushshaq ko tere
taDapte hain fughan karte hain aur karwaT badalte hain
Bhartendu Harishchandra
mar gae hum par na aae tum KHabar ko ai sanam
hausla ab dil ka dil hi mein meri jaan rah gaya
Bhartendu Harishchandra