main thoDi der bhi aankhon ko apni band kar lun to
andheron mein mujhe ek raushni mahsus hoti hai
Bharat Bhushan Pant
sabab KHamoshiyon ka main nahin tha
mere ghar mein sabhi kam bolte the
Bharat Bhushan Pant
shayad bata diya tha kisi ne mera pata
milon meri talash mein rasta nikal gaya
Bharat Bhushan Pant
suraj se us ka nam-o-nasab puchhta tha main
utra nahin hai raat ka nashsha abhi talak
Bharat Bhushan Pant
tu hamesha mangta rahta hai kyun gham se najat
gham nahin honge to kya teri KHushi baDh jaegi
Bharat Bhushan Pant
ummidon se parda rakkha KHushiyon se mahrum rahin
KHwab mara to chaalis din tak sog manaya aankhon ne
Bharat Bhushan Pant
us ko bhi meri tarah apni wafa par tha yaqin
wo bhi shayad isi dhoke mein mila tha mujh ko
Bharat Bhushan Pant