jaane kitne log shamil the meri taKHliq mein
main to bas alfaz mein tha shaeri mein kaun tha
Bharat Bhushan Pant
kahin jaise main koi chiz rakh kar bhul jata hun
pahan leta hun jab dastar to sar bhul jata hun
Bharat Bhushan Pant
KHamoshi mein chahe jitna begana-pan ho
lekin ek aahaT jaani-pahchani hoti hai
Bharat Bhushan Pant
kitna aasan tha bachpan mein sulana hum ko
nind aa jati thi pariyon ki kahani sun ka
Bharat Bhushan Pant
main ab jo har kisi se ajnabi sa pesh aata hun
mujhe apne se ye wabastagi majbur karti hai
Bharat Bhushan Pant
main apne lafz yun baaton mein zae kar nahin sakta
mujhe jo kuchh bhi kahna hai use sheron mein kahta hun
Bharat Bhushan Pant
main ne mana ek guhar hun phir bhi sadaf mein hun
mujh ko aaKHir yun hi ghuT kar kab tak rahna hai
Bharat Bhushan Pant