asar na puchhiye saqi ki mast aankhon ka
ye dekhiye ki koi hoshyar baqi hai
Betab Azimabadi
kitne ilzam aaKHir apne sar
tum ne ghairon ko sar chaDha ke liye
Betab Azimabadi
laD gai un se nazar khinch gae abru un ke
marke ishq ke ab tir-o-kaman tak pahunche
Betab Azimabadi
taDap ke rah gai bulbul qafas mein ai sayyaad
ye kya kaha ki abhi tak bahaar baqi hai
Betab Azimabadi
aaj khelenge mere KHun se holi sab log
kitna rangin har ek shaKHs ka daman hoga
Betab Sury
aankhon mein ek bar ubharne ki der thi
phir aansuon ne aap hi raste bana liye
Bharat Bhushan Pant
ab to itni bar hum raste mein Thokar kha chuke
ab to hum ko bhi wo patthar dekh lena chahiye
Bharat Bhushan Pant