paDhe jao 'beKHud' ghazal par ghazal
wo but ban gae hain sune jaenge
Bekhud Dehlvi
qayamat hai teri uThti jawani
ghazab Dhane lagin nichi nigahen
Bekhud Dehlvi
ah mein baiTha hun main tum sang-e-rah samjho mujhe
aadmi ban jaunga kuchh Thokaren khane ke baad
Bekhud Dehlvi
aqibon ke liye achchha Thikana ho gaya paida
KHuda aabaad rakhe main to kahta hun jahannam ko
Bekhud Dehlvi
ind-mashrab koi 'beKHud' sa na hoga wallah
pi ke masjid hi mein ye KHana-KHarab aata hai
Bekhud Dehlvi
saKHt-jaan hun mujhe ek war se kya hota hai
aisi choTen koi do-chaar to aane dije
Bekhud Dehlvi
sauda-e-ishq aur hai wahshat kuchh aur shai
majnun ka koi dost fasana-nigar tha
Bekhud Dehlvi