mujh ko na dil pasand na wo bewafa pasand
donon hain KHud-gharaz mujhe donon hain na-pasand
Bekhud Dehlvi
na dekhe honge rind-e-la-ubaali tum ne 'beKHud' se
ki aise log ab aankhon se ojhal hote jate hain
Bekhud Dehlvi
na dekhna kabhi aaina bhul kar dekho
tumhaare husn ka paida jawab kar dega
Bekhud Dehlvi
nama-bar ye to kahi baat pate ki tu ne
zikr us bazm mein rahta to hai akasr apna
Bekhud Dehlvi
namak bhar kar mere zaKHmon mein tum kya muskuraate ho
mere zaKHmon ko dekho muskurana is ko kahte hain
Bekhud Dehlvi
nau-giraftar-e-mohabbat hun wafa mujh mein kahan
kam se kam dil abhi sau bar to aane dije
Bekhud Dehlvi
nazar kahin hai muKHatab kisi se hain dil mein
jawab kis ko mila hai sawal kis ka tha
Bekhud Dehlvi