shifa kya ho nahin sakti hamein lekin nahin hoti
dawa kya kar nahin sakte hain hum lekin nahin karte
Bekhud Badayuni
shikwa sun kar jo mizaj-e-but-e-bad-KHu badla
hum ne bhi sath hi taqrir ka pahlu badla
Bekhud Badayuni
un ki hasrat bhi nahin main bhi nahin dil bhi nahin
ab to 'beKHud' hai ye aalam meri tanhai ka
Bekhud Badayuni
waiz o mohtasib ka jamghaT hai
mai-kada ab to mai-kada na raha
Bekhud Badayuni
wo jo kar rahe hain baja kar rahe hain
ye jo ho raha hai baja ho raha hai
Bekhud Badayuni
wo un ka wasl mein ye kah ke muskura dena
tulu-e-subh se pahle hamein jaga dena
Bekhud Badayuni
aaina dekh kar wo ye samjhe
mil gaya husn-e-be-misal hamein
Bekhud Dehlvi