اردو हिंदी
Kyun main ab qabil-e-jafa na raha | Shaahi Shayari
kyun main ab qabil-e-jafa na raha

Ghazal

Kyun main ab qabil-e-jafa na raha

Bekhud Badayuni

;

kyun main ab qabil-e-jafa na raha
kya hua kahiye mujh mein kya na raha

un ki mahfil mein us ke charche hain
mujh se achchha mera fasana raha

waiz o mohtasib ka jamghaT hai
mai-kada ab to mai-kada na raha

uf-re na-ashnaiyan us ki
chaar din bhi to aashna na raha

lakh parde mein koi kyun na chhupe
raaz-e-ulfat to ab chhupa na raha

itni mayusiyan bhi kya 'beKHud'
kya KHuda ka bhi aasra na raha