dil laga lete hain ahl-e-dil watan koi bhi ho
phul ko khilne se matlab hai chaman koi bhi ho
Basir Sultan Kazmi
gila bhi tujh se bahut hai magar mohabbat bhi
wo baat apni jagah hai ye baat apni jagah
Basir Sultan Kazmi
jab bhi mile hum un se unhon ne yahi kaha
bas aaj aane wale the hum aap ki taraf
Basir Sultan Kazmi
kaise yaad rahi tujh ko
meri ek chhoTi si bhul
Basir Sultan Kazmi
KHatm huin sari baaten
achchha ab chalta hun main
Basir Sultan Kazmi
kuchh to hassas hum ziyaada hain
kuchh wo barham ziyaada hota hai
Basir Sultan Kazmi
uk gaya hath tera kyun 'basir'
koi kanTa to na tha phulon mein
Basir Sultan Kazmi