اردو हिंदी
Dur saya sa hai kya phulon mein | Shaahi Shayari
dur saya sa hai kya phulon mein

Ghazal

Dur saya sa hai kya phulon mein

Basir Sultan Kazmi

;

dur saya sa hai kya phulon mein
chhupti phirti hai saba phulon mein

itni KHushbu thi ki sar dukhne laga
mujh se baiTha na gaya phulon mein

chand bhi aa gaya shaKHon ke qarib
ye naya phul khila phulon mein

chand mera hai sitaron se alag
phul mera hai juda phulon mein

chandni chhoD gai thi KHushbu
dhup ne rang bhara phulon mein

titliyan qumriyan sab uD bhi gain
main to soya hi raha phulon mein

ruk gaya hath tera kyun 'basir'
koi kanTa to na tha phulon mein