اردو हिंदी
Tufta-jaanon ka ilaj ai ahl-e-danish aur hai | Shaahi Shayari
tufta-jaanon ka ilaj ai ahl-e-danish aur hai

Ghazal

Tufta-jaanon ka ilaj ai ahl-e-danish aur hai

Bahadur Shah Zafar

;

tufta-jaanon ka ilaj ai ahl-e-danish aur hai
ishq ki aatish bala hai us ki sozish aur hai

kyun na wahshat mein chubhe har mu ba-shakl-e-nish-tez
KHar-e-gham ki tere diwane ki kawish aur hai

mutribo ba-saz aao tum hamari bazm mein
saz-o-saman se tumhaari itni sazish aur hai

thukta bhi duKHtar-e-raz par nahin mast-e-alast
jo ki hai us fahisha par ghash wo fahish aur hai

tab kya ham-tab howe us se KHurshid-e-falak
aaftab-e-dagh-e-dil ki apne tabish aur hai

sab miTa den dil se hain jitni ki us mein KHwahishen
gar hamein malum ho kuchh us ki KHwahish aur hai

abr mat ham-chashm hona chashm-e-dariya-bar se
teri barish aur hai aur us ki barish aur hai

hai to gardish charKH ki bhi fitna-angezi mein taq
teri chashm-e-fitna-za ki lek gardish aur hai

but-parasti jis se howe haq-parasti ai 'zafar'
kya kahun tujh se ki wo tarz-e-parastish aur hai