aaj-kal to sab ke sab Tw ke diwane hue
warna bachche to liya karte the pagal ke maze
Badr Wasti
azab hoti hain akasr shabab ki ghaDiyan
gulab apni hi KHushbu se Darne lagte hain
Badr Wasti
har shaKHs ko guman ki manzil nahin hai dur
ye to bataiye ki pita kis ke pas hai
Badr Wasti
lahu ka aaKHiri qatra nichoDne par bhi
taqaze rengte rahte hain rang-o-bu ke liye
Badr Wasti
phaldar daraKHton ne rijhaya to mujhe bhi
aazad parindon ke liye shaKH-o-samar kya
Badr Wasti
qatil ki sari sazishen nakaam hi rahin
chehra kuchh aur khil uTha zahrab gar piya
Badr Wasti
main bhi gum-sum tha koi baat na karne paya
us ke honTon pe bhi jaise koi pahra dekha
Bagh Husain Kamal