اردو हिंदी
Pan kha kar surma ki tahrir phir khinchi to kya | Shaahi Shayari
pan kha kar surma ki tahrir phir khinchi to kya

Ghazal

Pan kha kar surma ki tahrir phir khinchi to kya

Bahadur Shah Zafar

;

pan kha kar surma ki tahrir phir khinchi to kya
jab mera KHun ho chuka shamshir phir khinchi to kya

ai muhawwis jab ki zar tere nasibon mein nahin
tu ne mehnat bhi pai-e-iksir phir khinchi to kya

gar khinche sine se nawak ruh tu qalib se khinch
ai ajal jab khinch gaya wo tir phir khinchi to kya

khinchta tha panw mera pahle hi zanjir se
ai junun tu ne meri zanjir phir khinchi to kya

dar hi par us ne khincha jab sar-e-bazar-e-ishq
lash bhi meri pai-e-tashhir phir khinchi to kya

khinch ab nala koi aisa ki ho us ko asar
tu ne ai dil aah-e-pur-tasir phir khinchi to kya

chahiye us ka tasawwur hi se naqsha khinchna
dekh kar taswir ko taswir phir khinchi to kya

khinch le awwal hi se dil ki inan-e-iKHtiyar
tu ne gar ai aashiq-e-dil-gir phir khinchi to kya

kya hua aage uThae gar 'zafar' ehsan-e-aql
aur agar ab minnat-e-tadbir phir khinchi to kya