yun bar bar mujh ko sadaen na dijiye
ab wo nahin raha hun koi dusra hun main
Azm Shakri
zaKHm jo tum ne diya wo is liye rakkha hara
zindagi mein kya bachega zaKHm bhar jaane ke baad
Azm Shakri
zindagi meri mujhe qaid kiye deti hai
is ko Dar hai main kisi aur ka ho sakta hun
Azm Shakri
chiyunTiyon ki tarah hain chimTi hui
teri yaadon ne mar Dala hai
Azmatullah Khan
aane wale kal ki KHatir har har pal qurban kiya
haal ko dafna dete hain hum jine ki tayyari mein
Azra Naqvi
ab ki bar jo ghar jaana to sare album le aana
waqt ki dimak lag jati hai yaadon ki almari mein
Azra Naqvi
haqiqaten to mere roz o shab ki sathi hain
main roz o shab ki haqiqat badalna chahti hun
Azra Naqvi