tu baat nahin sunta yahi hal hai phir is ka
jhagDe ke liye waqt nikalen koi hum bhi
Azlan shah
ye KHazane ka koi sanp bana hota hai
aadmi ishq mein duniya se bura hota hai
Azlan shah
aamadgi ko wasl se mashrut mat samajh
ye dekh is sawal pe sanjida kaun hai
Azm Bahzad
ai KHwab-e-pazirai tu kyun meri aankhon mein
andesha-e-duniya ki tabir uTha laya
Azm Bahzad
ajab mahfil hai sab ek dusre par hans rahe hain
ajab tanhai hai KHalwat ki KHalwat ro rahi hai
Azm Bahzad
dariya par utarne wale ye bhi jaan nahin pae
kise kinare par le Duba par utar jaane ka gham
Azm Bahzad
kal samne manzil thi pichhe meri aawazen
chalta to bichhaD jata rukta to safar jata
Azm Bahzad