kitne mausam sargardan the mujh se hath milane mein
main ne shayad der laga di KHud se bahar aane mein
Azm Bahzad
koi aasan rifaqat nahin likkhi main ne
qurb ko jab bhi likha jazb-e-raqabat likhkha
Azm Bahzad
aushni DhunD ke lana koi mushkil to na tha
lekin is dauD mein har shaKHs ko jalte dekha
Azm Bahzad
sawal karne ke hausle se jawab dene ke faisle tak
jo waqfa-e-sabr aa gaya tha usi ki lazzat mein aa basa hun
Azm Bahzad
uTho 'azm' is aatish-e-shauq ko sard hone se roko
agar ruk na pae to koshish ye karna dhuan kho na jae
Azm Bahzad
aansuon se likh rahe hain bebasi ki dastan
lag raha hai dard ki taswir ban jaenge hum
Azm Shakri
aaj ki raat diwali hai diye raushan hain
aaj ki raat ye lagta hai main so sakta hun
Azm Shakri