kis ne kaha hai diwaron par saya karta hai suraj
diwaron par diwaron ka apna saya hota hai
Azraq Adeem
sawan ki rut aa gai khile kanwal ke phul
kaliyon ke mukhDe dhule aDi chaman ke dhul
B S Jain Jauhar
aatish-e-ishq jab jalati hai
jal ke main nosh-e-jam karta hun
Babar Rahman Shah
ai pari-zad tere jaane par
ho gaya KHud se rabta mera
Babar Rahman Shah
dil ne hum se ajab hi kaam liya
hum ko becha magar na dam liya
Babar Rahman Shah
dil se aaKHir charagh-e-wasl bujha
kya tamanna ne intiqam liya
Babar Rahman Shah
kisi ke jal mein aa kar main apna dil ganwa baiTha
mujhe tha ishq qatil se main apna sar kaTa baiTha
Babar Rahman Shah